Mujhay apney zabt pey naaz tha
meri aankh kaisey challak gayee hai yeh ghum bura hoa

Meri zindagee kay chiragh ka yeh mizaj koyee naya nahin
abhi teergee abhi roshni na jala hoa na bujha hoa

Mujhay aap kyon na samajh sakay yeh apney dil sey poochye
meri daastaan-e-hayat ka hay warq warq khula hoa

Mujhay jo bhi dushman-e-jaan mila woh pukhta kar-e- jafa mila
na kisi ki zarb ghalat pari na kisi ka waar khataa hoa

Mujhay rah mein para hoa kisi badnaseeb ka khat mila
kahin khoon-e-jigar sey likha hoa kahin aanso-oun sey mita hoa

Mujhay hamsafar mila bhi tou sitam zareef meri tarah
kayee manzilon ka thuka hoa kayee raaston ka luta hoa

– Amjad Islam Amjad