New generation to old generations..

Ek roz guzartey hoay eik gali sey
ek ilm kay talib ney mujhay rouk kay poocha
meri tou nasal suntee hai sirf aap ki baatein
hum ney na kabhi aap ko kuch kartey hi paaya

Kya aap ney sirf dee hai humein ilm ki daulat
ya khud bhi kabhi is pey amal kur kay dikhaya?

Kya aap ney sirf succh kitabon mein likha hai
ya aap ney yeh succh kabhi is shehar mein paaya?

Kya aap ney sirf jhoot sey larney ko kaha hai
ya aap ney baatil ko kabhi khud bhi haraaya?

Kya aap ney sirf waadon kay sabaq yaad karaye
ya aap ney khud bhi koyee wada hai nibhaya?

Kya aap ney sirf insaan ki qeemat hai bataayee
ya aap ney khud bhi kisi insaan ko bacchaya?

Kya aap ney jaan dainee watan per hai sikhayee
ya aap ney khud hai kuch is mutti pey lutaaya?

Kya aap ney keen khaliq sey sirf milney ki baatein
ya aap ney us ko hai kabhi khud mein bhi paaya?
………
Do qadam chala mein magar ehsaas-e-shikast sey
nazron ko churaatey hoay us sey yeh bola

Meri dua ha kay tum sub ho mukhtalif ta kay
kisi gali mein na is tarah sharminda ho
Humein malal hai jo bhi kaha amal na kya
magar mein khush hoon kay tum mera aayenda ho

– from ” Yeh Dunya Khubsoorat HaiCopyrights Reserved