Meray ander ki tanhayee
mujhay pal pal satatee hai
mein jub bhi souchney lagta hoon, khawabon aur khayalon mein
teri tasweer buntee hai, teri hi yaad laati hai
meray ander ki tanhayee..

Mein is sey door tou jana nahin hoon chahta shayad
kay is door ja kur kis tarah mein reh na paaonga
shayad eik hi dunya mein ab tou doust hai succha
jis sey kuch bhi keh sukta hoon khamosh reh kay mein
kisi dum eik hi awaaz per woh lout aatee hai
meray ander ki tanhayee..

Hai meri zindagee ek buhat hi lamba safar jis mein
buhat sey humsafar thuk haar kur rustey mein ruk jaatey
buhat sey rahzun bhi loot kay rasta badal jaatey
isi darya kinaarey meelon meray saath chaltee hai
meray hi saath hunstee hai, sung apney rulatee hai
meray ander ki tanhayee
mujhay hur pal satatee hai…

– from ” Kho na JanaCopyrights Reserved